KANZUL IMAN ROMAN TRANSLITRATION
QURAN IN ROMAN ENGLISH TRANSLITERATION
Qur’an-e-Kareem 23 sal ke arsey mein Ḥuzoor Nabi-e-Akram ﷺ par nazil hone wali asmani WAḤI ka majmu’a hai. Qur’an-e-Kareem bani nau-e-insan khususan Musalmanon ke liye muqaddas Kitab hai jo in ke liye qanoon aur ahkam, samaji aur ikhlaqi rawayye ke zabitey bayan karta hai aur ek jame’ mazhabi falsafah bhi rakhta hai.
QUR’AN-E-KAREEM KO SAMAJHNE KE LIYE QUR’AN-E-KAREEM KI ZUBAN JANNA ZARURI HAI
Qur’an-e-Kareem ko samajhne ke liye Qur’an-e-Kareem ki zubān jānna zaruri hai, Qur’ān-e-Kareem ki zubān Arabi hai, har khitte (jagah) ke Musalman ba-ghair apni ilaqai zubān meiñ Qur'ān-e-Kareem ka tarjama (translation) pardhe Arabi Qur’ān ko nahiñ samajh saktey isliye har zubān me tarjama (translation) karna zaruri hai.
Daur-e-Ḥāzir meiñ mobile phone ke badhte hue istamāl ki wajha se Urdu-Roman meiñ paighām (message) bhejna nihayat hi āsān aur ek mufeed zariyā ban gaya hai.
Books Language: ROMAN |
Book Category: Quran |