Skip to Content


Qanoone Shariat - Book Detail

QANOONE SHARIAT IN ROMAN URDU

QANOONE SHARIAT Book Cover

Book Details

  • Author: Shamsul Ulama Hazrat Allama Shamsuddeen Ahmad Razvi Jonpuri Alaihir Rahma
  • Language: Roman Urdu
  • Publisher: Sadaqat Academy
  • Edition: First Edition
  • Publication Date: 15 April 2025
  • Pages: 750
  • Price: ₹250
  • Format: Printed Book
  • Country: India

Qanoone Shariat Er Mòtabar Kitab Hai Jo Qawāneen-E-Shariat Ko Asān Zabān Meiñ Bayan Karti Hai, Is Kitab Meiñ Aqaid, Namaz, Roza, Zakat, Hajj, Taharat, Janaza, Talaq, Nikah Waghairah Doosre Ahem Ahkām Aur Rozmarra Ke Islami Masāil Ko Tafseel Ke Sāth Bayān Kiya Gaya Hai, Is Kitab Ke Musannif Shamsul Ulama Hazrat Allama Shamsuddeen Ahmad Razvi Jonpuri Alaihir Rahma Apne Daur Ke Mashhoor Buzurg Alim-E-Deen The, Jinhone Ne Hanafi Figh Ke Mutabiq Masāil Ko Wazeh Aur Dalāil Ke Sath Itne Mukhtasar Aur Khoobsoorat Andāz Me Pesh Kiyα. Kai Publishers Ki Roman Urdu Kitabon Ke Likhne Ka Andāz, Méyār Ke Mutabiq Nahi Hai Aur Qanoone Shariat Chooñki Deeni Kitab Hai, Is Liye Isko Is Tarah Se Karna Munasib Nahi Samjha Gaya, Hum Ne Zabanoñ Ke Māhir Jismeiñ Phd Holders Bhi Shamil Haiñ Unki Rāye Se Roman Urdu Ke Rules Banāye, Ke Kitab Na Sirf Padhne Meiñ Asān Ho Balki Is Meiñ Nazm, Husn Aur Rawani Bhi Ho. Kitab Mukammal Hone Ke Bàd Un Afrad Ke Sāmne Bhi Pesh Ki Jinhaiñ Urdu Bilkul Nahi Aati. Unke Feedback Ki Buniyad Par Mushkil Alfāz Ko Highlight Karke Unka Asan Tarjuma Brackets Ya Footnotes Meiñ Likha Gaya, Ta Ke Har Khas Wa Aam Asani Se Isko Samajh Sake. Iske Ilawa, Qanoone Shariat Ki Printing Bhi Aapko Ache Paper Par Milegi, Aur Binding Bhi Mazboot, Ta Ke Yeh Lambi Muddat Tak Bāqi Rahe Aur Ziyādah Se Ziyādah Log Fayedah Hasil Kar Sakeñ. Har Ek Pehlu-Matn, Layout, Proof Reading, Design. Aur Material-Ko Bar Bar Check Karke Behtareen Andaz Meiñ Pesh Karne Ki Alhamdu Lillah S'ādat Hasil Ki Hai Yeh Kitab Un Tamam Logoñ Ke Liye Intehai Mufeed Hai Jo Urdu Nahi Jante. Khāskar University, College, Aur School Meili Padhne Wale Students Aur Aam Musalmān Sab Ke Liye Yeh Ek Behtareen Rehnuma Aur Islami Lim Ka Ek Bush Qeemti Zakhira Hai. Allah Ta'ala Sadaqat Academy Ki Poori Team Ko Be-Panah Ajr Atā Farmāye Aur Is Kām Ko Ham Sab Ke Liye Sadqaye Jāriyah Banaye. Ameen!