Al Malfooz Imam Ahmed Raza Khan رحمہ اللہ ke muntakhab wa mu’tabar ملفوظat ka majmua hai, jo un ke ilmi, fiqhi, tasawwufi aur aqeedati jawabat par mabni hai. Yeh kitaab un sawaalat ke jawab par mushtamil hai jo un se un ke zamanay mein pochay gaye – aur jin ke jawabat aaj bhi roohani rahnumai ka zariya hain.
Al Malfooz mein:
- Qurani aur Hadith ki roshni mein daleel ke sath jawab
- Fiqhi masail, aqeeda, tasawwuf aur aamal par wazahat
- Dini talaba, ulema, mutali'a karne walon ke liye ilmi treasure
- Imam Ahmad Raza ke ilmi martaba aur jazbat-e-ishq-e-Rasool ﷺ ka izhar
Yeh kitaab un sab logon ke liye zaroori hai jo Ahle Sunnat ke asal aqeede ko samajhna aur ruhani madad lena chahte hain. Al Malfooz sirf ek kitaab nahi, balke Aala Hazrat ke dardmand dil aur noorani zehan ki aawaz hai.